Tuesday, May 19, 2009

  • 1


    APPNO Nay DYA DOKHA GAERO MAIN KYA DUM THA.....MERY KASHTI WAHAN DUBBI JAHAN PANI HI KUM THA


    2

    # Saleeqa ho ager bheegi hui aankhon ko parhne ka..

    To behte hue aanso bhi akser baat karte hein...



    3

    Bhool shayed bohot bari kar li,
    Dil ne duniya se dosti kar li,

    Tum mohabat ko khail kehte ho,
    Hum ne barbaad zindagi kar li.

    Us ne dekha bari inayat se,
    Ankhon ankhon mein baat bhi kar li,

    Ashiqi mein bohot zaroori hai,
    Bewafayi kabhie kabhie kar li,

    Hum nahi jante chiragon ne,
    Kyo andheron se dosti kar li

    4

    #


    Mujhe deewana samjhte hein tere sheher ke log.
    Kiu mere daman se ulajhte hein tere sheher ke log.

    Mein gaya waqt hoon wapis nahi anay wala.
    Kiu mera rasta takte hein tere sheher ke log.

    Aur kya doon mein tujhe apni wafaaon ka saboot.
    Ab mere haal per hanste jein tere sheher ke log.

    Mein to toota hua patta hoon meri baat hai kya?
    Phool pairon se masalte hein tere sheher ke log.



    5

    # Ae Chand

    Aik hi jaise hain hum don'on

    Aik hi jaisa Paya hai muqaddar don'on ne

    Udhar aasman ki bulandiyun main tu tanha

    Idhar zameen ki pastion men main tanha.

    6

    # Nadan hain jo chahtay hain
    Kisi ko zindagi ki tarha..



    Nahi jantay k zindagi bhi
    Tou bewafa hoti hai...



    7

    # Main kaisy maan lon mry "UDAAS" angan main koi nhi hai Faraz.....!

    Main rota hun to kisi k HSNAY ki saada aati hai.

    8

    # Kbhi socha he nahi apni zaat k mutaliq!!!!



    Kash! Soch lete to aaj hum tanha na hoty.

    9

    # Mere aansooun ko us ne barsat smja,

    Meri khabon ko usne mulakat smaja,

    Mera janaza jb guzra us ke gali se

    Pather dil ne use bhi barat samja.

    10

    # Koi achi si SAZA do mujhko!
    Chalo aisa karo BHULLA do mujhko!

    Apne DIL me basi TASVIR meri!
    Aisa karo JALA do usko!

    Meri WAFA pe agar SHAK hai tumko
    Tu phir NAZAR se gira do mujh ko

    Muddat hogai hai tere HIJR me jagte howe!
    Apni sanso ki HARARAT se sula do mujhko

    Kuch tu TARAS karo apne DIWANE per!
    JAAM na sahi ZEHER hi pila do mujhko!

    Tum se bichron tu MOUT aa jai mujhko,
    Dil ki Gehrayon se aisi DUA do mujhko.


    11

    KHUSHI MILI THI HANS NA SAKAY ...GUM MILAY TO RO NA SAKAY ZINDGI KA YEHI DASTOOR HAIN.....JISAY CHAHA USAY PA NA SAKAY.. JISAY PAYEA USAY CHAH NA SAKAY

    12

    EK NUKTAY NE HUMAY MEHRAM SE MUJRIM BANA DYA ..........HUM DUA LIKHTAY GAYE WOH DAGA PERTAY GAYE

    13

    .Kyon kisi aur ko
    dukh dard sunaon apny
    Apni aankhon se bhi main
    zakham chupaon apnay

    Main tu kayem ho tery
    gham ki badolat warna
    Youn bikahar jaon kay
    khud hath na aon apny

    Uss ki talwaar ne wo
    chaal chali hay Anwar
    Paon katty hain agar
    hath bachaon apnay


    14


    …Bahaana dhondtay rehtay
    hain koi ronay kaa
    Hamain ye shouq hay kaya
    ankhian bhigonay ka

    Agar palak pe hay moti
    tau yeh nahi kafi
    Hunar bhi chahaye alfaaz
    main paronay ka

    Hay pash pash magar
    phir bhi muskurata hay
    Wo chehra jaisay ho
    toty hoaye kihlonay ka...!


    15

    Tum dhoor ho to kia huwa
    Tery khushbu meray saath hai
    Tera lehja meray saath hai
    Tery batain meri humsafar
    Tery yaadain meri raahguzar
    Tum dhoor ho to kiya huwa
    Har lamha meray paas ho
    Meray jeenay ki tum aas ho...


    16

    Kitabo k panno ko palat k sochta hu
    u palat jaye meri zindagi to kya bat hai,

    khwabo me roz milti hai jo
    hakikat me aaye to kya bat hai

    17

    # Teri yaad bhi Kamal karti ha Ateeq..



    Aksar Mujay apnay hathon ki Lakeeron main Uljha Dayti hai....



    18

    # Agar wo dil main basa hota to kab ka bhola daytay Ateeq


    Wo to mujh main bohat door tak nikal gaya hai.



    19

    # Khamoshi se bhikarna aa gaya hai,
    Hume ab khud ujarna aa gaya hai,

    Kisi ko bewafa kehte nahi hein hum,
    Hume bhi ab badalna aa gaya,

    Kisi ki yaad mein rote nahi hum,
    Hume chup chap jalna aa gaya hai,

    Gulabon ko tum apne hi rakho,
    Hume kanton pe chalna aa gaya hai...

    20

    ~*Doston ki
    ~*be Niyazi
    ~*ko Adaa ka
    ~*naam do

    ~*Be rukhi
    ~*had se jo
    ~*barh jay
    ~*tu ana ka
    ~*naam do


    21

    Jab Haath Dua Ko Uthtay Hen
    Alfaaz Kaheen Kho Jate Hen
    Bas Dhiyaan Tumahra Rehta Hai
    Aur Aansu Behtay Rehtay Hen
    Hr Khowab Tumara Pura Ho
    Us Rab Ki Minnat Karte Hen
    Hum Aysi Muhabbat Karte Hen
    Tum Kesi Muhabbat Karte Ho
    Muje Thandak Raas Nai Aati
    Muje Barish SE Khouf AAta Hai
    Par Jis Din Se Maloom Howa
    Yeh Mosum Tumko Bhaata Hai
    AB Jab Bhi Saawan Aata Hai
    Barish Main Bheegtay Rehtay Hain
    Hum Aysi Muhabbat Karte Hen
    Tum Kehsi Muhabbat Karte Ho ????

    22

    # Hamari aana ko gawara na tha k Muhabbat maang kar laty
    Or un main itna Zarf na tha k mangy bina luta daty

    Ik muddat tk es dil ki beqararian na gaen
    Ha roz usy khat likhty, har roz jala daty

    Khud ko uski muhabbat k qabil na samjha Wrna !
    Tot k usy aisa chahty k khud ko bhula daty

    Kabhi azma k dakhta us ki khuahishon ki khatir
    Us k qadmo main bikhar jaty uski rahon ko saja daty!



    23

    Main Apni Raton Ki Fursaton Me Tujhy Manaon To Maan Jana,
    Agar Kisi Din Main Apny Ansu Jo Le K Aaon To Maan Jana,

    Ye Ek diL Hi Tumhy Dia Tha So Is Ko Tum Ne Hi Tor DaLa,
    Shikasta DiL Ki Jo Kirchion Ko Smet Laon To Maan Jana,

    Tu Khush Nhi Hai Meri BaQa Per To Sirf Itna Bata,
    Teri Khushi K Liye Jo SooLi Pe Muskraon To Maan Jana,

    Tu Badguman Hai Meri Wafa Pr To Sirf Aik Bar Azma Le,
    Jo Haar Jaon To LouT Jana,Jo Jeet Jaon To Maan Jana.

    24

    #


    Mohabat ki Sharat rakhi to woh bhi Kam........


    1 Jaan he mangi thi or inkar na kar saktay hum......


    25

    # Wo na aaye un ki yaad aa kar wafa kar gai,
    Un say milnay ki tamana zindgi tabha kar gai.

    Aahat hui to socha Asar Dua kar gai.
    Darwaza khola to dekha mazak hum say hawa kar gai.

    26

    # Takseem-e-Muhabat My b kuch gum hi mily

    Phir b shikayat hai k siley kum he mily

    Ae Zindgi ek baat bata zra hum ko.

    Kya dil dukhane k lye Tujhe hum hi mily.

    27

    # Us ek lamhy mai us nai Zindagi sanwar di
    Phir ek lamhy mai us nai Zindagi ujar di

    Qasoor us ka nhi mere tha
    Jo un do lamhon mein zindgi guzaar di.